mere is shahr ki raunaq basen rickshaw tramen motaren aur aadmi sailab ke manind sadken hamhamati shor hangama tag-o-dau waqt ki gardish mein subh-o-sham ka mamul hai mere is shahr ki raunaq school na-ashna lamhe adhuri khwahish khwabon ke virane andhere shab ke afsane mere is shahr ki raunaq hasin bazar raunaq dukanen dilruba chehre shagufta konplen aasuda jalwe karb ki lahren ye kaisi karb ki lahren hain yarab shahr-e-khuban shahr-e-maqtal ban gaya hai aur zinda aadmi qatl-gah-e-rah-guzar par rikshon bason caron ke shor-e-garan mein nim-jaan behaal murda kho chuka hai e'tibar-e-zindagi