saty ahinsa ke paighambar dukhiyon ke dildar wardhaman mahawir swami neki ke autar tu ne jag ke dukh harne ko pal pal kasht sahe ghor tapasya aur faqon se tan man saf kiye wardhaman mahawir swami neki ke autar kya tere faqon aur tap se pashu man shant hua kyon ki teri hi dharti par aaj hain attyachaar dharti ambar khun mein dube chaaron khunt dakait ab anaj ki jagah ugae zinda lashen khet in lashon ko in kheton ko aakar phir do pran phir se amn ka git sunao neki ke bhagwan saty ahinsa ke paighambar dukhiyon ke dildar