dali dali hai yas ka mausam ahl-e-urdu ki chashm pur-nam hai nabz-e-geti rawan hai ruk ruk kar kitna khamosh sara aalam hai krishn bedi asar kiran thakur be-tahasha hi ro diye hain aaj jaise har ek ne apne sarmae bahr-e-gham mein dubo diye hain aaj sina-e-arz mein shigaf hua lau charaghon ki kyon bhatakti hai su-e-madfan pe kaun aata hai chashm-e-hairan se qabr takti hai haar tuta urus-e-hasti ka nausha-e-zindagi kahan hai aaj wo ki baam-e-adab ki zinat tha wo darakhshan qamar kahan hai aaj ek jarrah tha ki jo na raha wo ki nashtar hi tha qalam jis ka saz urdu ka kaun chhedega jis ka manto hi ek mutrib tha