mahbuba aur maut mein ek mumasalat hai ki mujhe donon se mohabbat hai ai maut kya bataun ki tere jaisa kaun hai ki jis se mujh ko pyar hai ki us pe sab nisar hai main chahta hun us ko bhi teri tarah teri tarah han wo bhi tere jaisi hai main dhundhta hun donon ko khalaon mein fazaon mein ai maut ab kahan hai tu kidhar main dhundhta phirun kabhi qarib aae to kabhi han muskurae to magar na samjhe mujh ko to na e'tibar mujh pe ho to baat mane auron ki tabib ki hakim ki kahin jo ghair sun le to sune na meri baat to ajib baat hai bhi ye lagao na gale kabhi na de mujhe to pyar hi ye kaisi bebasi meri na to mile na prit hi ye donon ek jaisi hain mujhe samajhti hi nahin