mere sine pe sar rakh ke roti rahi meri palkon se palken bhigoti rahi main bhi rota raha mere sine pe sar rakh ke soti rahi main bhi sota raha meri aankhon mein kuchh dhundhti si rahi main bhi dekha kiya khamushi ke hijabon mein halchal rahi main khada pur-sukun but tadapta raha waqt-o-haalat phir darmiyan aa gae dur hote gae phir khuda-hafizi phir juda ho gae phir tasawwur ki duniya masafat ki adchan wahi waqt-o-haalat ki bandishen do dhadakte dilon aarzuon ko duniya ne maqtal mein apne kiya hai tah-e-tegh