mahngi coffee ke cup mein khaulta hua din

aur maon ki chhatiyon se chhini
hui jawan zindagi kisi safed

parcham par girte hain aur ek bada
dhabba ban jata hai

laundriyon mein dhule ayyam
hamare sine mein gadhi gai

kilon par sukhae jate hain
kisi mulk ka naqsha dhabbe se

bada nahin hota ki use dhone ke
liye aisa haiz ka khun sarf kar diya jae

jo is liye jari ho gaya ki
hamal thaharne ke aiwanon mein

koi sarkari harkara nahin tha
insani huquq ki plate mein

rakha kanta aur bediyon ko katne
wali rang aalud chhuri mal kar bhi

khuda ke honton ko zakhmi nahin kar sakte
zamin ko ungliyon pe ghumane wala maskhara

ek din zamin mein aisa swaraj karega
ki zamin ke sine mein chhupe din bah

kar faza mein phail jaenge
khul kar sans lene ka tex

is qadar badh chuka hai ki log
bade ghubbaron ko phad kar

apne chehron par chadha lenge
aur khwab tabir ke sine mein aisa

khanjar ghonpega ki tabir ke khun
ke chhinte suraj ke munh par ja lagenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close