zist aur maut ki sard-o-viran si do qayamat numa sarhaden aur pahlu mein in sarhadon ke wo dhundli si bujhti hui ek lakir jis ki dahliz par aakhiri sans lete hue ruth kar hum se koi jo is mukhtasar fasle se guzar jaega laut kar wo nahin aaega sard raaton mein hum us ko aawaz den to jawaban hamein gunj ki surat apni hi aawaz aati rahegi maut ke sard honton pe jumbish na hogi par unhen sard tarik raaton ke sine pe tum dekhna kal hamein ek sitara chamakta nazar aaega aur khamoshiyon mein hamein ja-ba-ja ek aahat si mahsus hogi