mahshar

dil-e-wahshi junun ki kaun si manzil thi kal shab
jahan baham hue qazzaq-o-dilbar

chale khanjar gale par aastin par
dil-o-daman pe dastar-o-jabin par

ajab ek shor tha mahshar bapa tha
bahut aah-o-fughan andoh jaani

hazaron zakhm aur ek sakht jaani
na jaane shiddat-e-yalghaar kya thi

nahin malum kya muddat rahi
kisht-e-nigaran ki

khuli jab aankh to
ek tutte nashe ka aalam tha

shafaq-gun tha ufuq dil ka
chaman ka rasta dhabbon se pur tha

aur saba daman mein apne khun ki bu bas rakhti thi
nazara didani tha

aur dil-e-betab ne dekha
lahu se lal hai sehn-e-chaman aur har taraf

bad-rang khun ki lala-kari hai
nagina dil ka sau tukde pada hai

aur har tukde mein koi aks-e-wahshi hai
dil-o-dilbar ki aashufta-sari hai

dil-o-dilbar ki rahon mein
faqat shishe ki kirchen hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close