yaran-e-najd

ai baad-e-subh-gahi dil kei kali khila de
virana mere dil ka rashk-e-chaman bana de

us bazm-e-jaan-faza ka nazzara phir dikha de
gulzar-e-arzu mein phir taza gul khila de

ye kar-zar-e-hasti hai ranj-o-gham kei basti
phir yaad-e-bazm-e-jam mein ek jam-e-jam pila de

ab sham-e-zindagi kei zulmat hai chhane wali
wo subh-e-dil-kusha ka nazzara phir dikha de

pasti mein pa-ba-gil hai umr-e-rawan ka dariya
phir unchi wadiyon ke manzar use dikha de

wo ahd-e-shadmani wo itr-e-zindagani
ai daur-e-asmani wapas kahin se lade

ai baghban ho tujh ko takht-e-chaman mubarak
mujh ko wo ham-nawa de wo mera ghonsla de

kin hasraton se 'nazir' us anjuman se nikle
mela sa lag raha hai jab hum chaman se nikle

ahwal-e-bazm-e-gulshan ai nama-bar sunana
wo dastan hai dilkash rangin hai wo fasana

us bazm-e-dil-kusha mein ulfat kei us faza mein
taron kei raushni mein yaron ka mil ke gana

kanon mein rach rahi hai koyal kei kuk ab tak
'nazir' ka hai wazifa us dhun mein gungunana

collage kei sarzamin thi ya naqsh-e-dil-nashin thi
dil se khayal us ka mumkin nahin bhulana

dariya mein mil ke jaise hon naddiyan ham-aghosh
begana kal jo aaya wo aaj tha yagana

bahr-e-tawaf jaana pir-e-mughan ke dar par
aur us kei ek nigah se sarmast ho ke aana

us chashm-e-mast mein thi ye turfa ek karamat
phirti wo jis taraf ko phirta udhar zamana

ai waqt-e-rafta aa ja phir wo saman dikha ja
aisa bhi kya tha jaana phir laut kar na aana

ai nakhuda bhanwar se kashti meri bacha kar
yaran-e-ashna se bahr-e-khuda milana

dar fasl-e-gul ki gulshan naqsh-o-nigar bando
'nazir' khayal-e-khud-ra aur bazm-e-yar bando


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close