bahut gad-mad the roz-o-shab ke wo sab tane-bane aur na main mashshaq tha aisa ki chadar koi bun leta magar mahsur tha aur jaanta tha ye mashaqqat katna qismat mein aaya hai so jaise ban pada ye kaam bhi pura kiya main ne pa ab jab dekhta hun apne roz-o-shab ka hasil yani wo chadar to kahta hun ki ai logo! use ham-rah mere dafn kar dena koi puchhe to kah dena are chhodo chalo ek chae pite hain