bura na mano namazen ab bhi yahin padi hain pe sajda-gahen utha ke jaane kidhar chale the wo subh tum ko bhi yaad hogi alag the ghar aur alaihida chulhe tumhaare parcham ka rang alag tha watan tumhaara naya naya tha sabhi to banta tha aadha aadha magar padi hain wahan pe ab tak hamari radha ki ek pael hamare kirishna ki ek bansi pa 'hir' kaise utha ke de den kahan se laen tumhaara ranjha ki hum se pagal hisab rakhte nahin dinon ka hamein to ye bhi pata nahin hai ki aaryai se babari hum bane to kaise hamein to shankh aur azan hai yaksan hamari tarikh ke kitne safhe churae tum ne? kahan kahan se nishan hamare mitae tum ne? hamari holi tumhaare bin hai udas kitni tumhein pata kya hamari eidon ko tum se milne ki pyas kitni kahan chale the utha ke mimbar kahan sajai dukan tum ne kahan pe beche hain mal kitne kaho munafa kamaya kitna hamare jaise tumhaare jaise khuda ke bande jo apne hisse ka pani khoden kuan to paen jo apne tan ko dhuan banaen to roti khaen hamein lakiron ke khel se kya hamein tijarat se wasta kab jinhen tha sud o ziyan se matlab wo karobar-e-jahan se rukhsat pa aag ab bhi bhadak rahi hai chalo buzurgon ka pap dhoen hamare mandir sambhaalo tum sab tumhaari masjid ke hum nigahban