mahsus karo

raushan-dan se aati
aadhi

raushni ka dukh
jis ka hamal kabhi nahin thahrega

mahsus karo
kamre ki tishnagi ko

jaise kisi bakara ke
nange badan ko palang par sulagta hua chhod diya gaya ho

mahsus karo
andhere ki zat ko

jo kamre mein baghair dhol ki thap ke
nach rahi hai

mahsus karo
us ghutan ko

jis ke raushan-dan se nikalne ka rasta raushni ne rok rakha hai
mahsus karo

us tanhai ka karb
jo khuda ka gala ghontna chahti hai

magar use apne hath sujhai nahin de rahe
mahsus kar sakte ho

to karo
andhere ke musawwir ko

aur chhin lo us se wo brush
jis se wo aziyyaten paint karta hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close