baadal baadal us ke qatre gahri udas chhanw hawaen bewa ki chudiyon ki tarah se chhan chhan tut rahi hain ye kaisa sawan hai dil mein kala nag yan dank marta hai main baadal roun ki khun thukun khun ki qatra qatra raat ke khauf se khushk hua hai raat mujhe apne hath se masal rahi hai main maila kapda hun jo na pahanne ke kaam aae na hi rakhne ke mujh ko jala do meri rakh hawa mein uda do is rakh ke gahre aur siyah baadal is shahr ki chhaton par barsenge jin ke kodh-zada wajud muddat se raushni ko taras gae hain aur jin ko mohabbat ki barish hi sehat-mand kar sakti hai wo samjhen to