mere bhi kuchh KHwab

mere bhi kuchh khwab hain
jin ko main jazbon ka khun de kar pal rahi hun

kya tumhein koi e'tiraaz hai
ujle dinon aur chandni chamakti raaton ki aas mujhe purwa ki tarah

kahan kahan nahin liye phirti
mere khwab

shishe ki tarah khubsurat aur nazuk inhen mat chhuo
ki hath lagne se maile na ho jaen

bas tum dur se is ki khushbu chakhte raho
magar mujhe khwab dekhne do

in sajile aur pyare khwabon ke liye chahe mujhe paniyon se guzarna pade
thalon ki masafaten hon

khwab mere sath rahenge
main un ke liye hansungi

gaungi nachungi jiyungi aur mar jaungi
khwab phir bhi mere hi rahenge


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close