maile dhabbe

zindagi wo safed phul hai jise
ek dost dusre dost ko pesh karta hai

aur jab dushman dost banna chahe
to wo bhi is phul ko sungh liya karta hai

ye safed phul har ghar mein ugta hai
kahin mahak raha hai

kahin sukh gaya hai
kahin abhi kali ke rup mein hai

aur aankhen jo use dekhti hain
ek dusre se kitni mukhtalif hain

kali bhuri nili aankhen
jo bahte pani ki tarah

is sarhad se us sarhad tak
har jagah maujud hain

jo zamin dekhti hain
falak dekhti hain

darmiyan dekhti hain
jaane kis tarah is phul ki safedi par

maile dhabbe aur khun ke chhinte bardasht kar leti hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close