zina zina

january ka sard din tha
yaad hai

hum garm chae ki talab mein
restaurant ki sidhiyan jab chadh rahe the

tab tumhaare adh-khule jute ke tasme bandhne ke waste
tum ruk gain thin

ruki aur jhuk ke tasme bandh kar
phir sidhiyan chadhne ko thin

tab ek lamhe ke liye tum ne tawazun kho diya tha
aur sanbhalne ke liye kandhe pe mere hath rakha tha

tumhein ehsas bhi shayad na ho ab tak
ki tum ko thamne ki fikr mein

mere qadam bhi ladkhadae the
mere kandhe pe rakh kar hath tum khud to sanbhal kar

zina zina chadh gain
lekin

main ab tak bhi sanbhal paya nahin hun
palat kar dekh lo upar ke zine se

main ab bhi raegan koshish mein hun
shayad sanbhal jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close