kamre mein khamoshi hai aur bahar raat bahut kali hai unche unche pedon par siyahi ne chhawni dali hai tez hawa kahti hai pal mein barkha aane wali hai wo sola-singar kiye apni hi soch mein khoi hui hai sanson mein wo gahra pan hai jaise be-sudh soi hui hai dil mein sau arman hain lekin meri samt nigah nahin hai yun baithi hai jaise us ke dil mein kisi ki chah nahin hai