sarhad-par ka ek KHat paDh kar

dawa ki shishi mein
suraj

udas kamre mein chand
ukhadti sanson mein rah rah ke

ek nam ki gunj!
tumhaare khat ko kai bar padh chuka hun main

koi faqir khada gidgida raha tha abhi
bina uthe use dhutkar kar bhaga bhi chuka

gali mein khel raha tha pados ka bachcha
bula kar pas use mar kar rula bhi chuka

bas ek aakhiri cigarette bacha tha packet mein
use bhi phunk chuka

ghis chuka
bujha bhi chuka

na jaane waqt hai kya dur tak hai sannata
faqat munder ke pinjre mein unghta panchhi

kabhi kabhi yunhi panje chillane lagta hai
phir apne-ap hi

dane uthane lagta hai
tumhaare khat ko


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close