parindon se sabaq sikha shajar se guftugu ki hai sawad-e-jaan ki khamoshi mein thahre abr-e-tanhai ki udi zard chadar par shua-e-yaad ke hathon likhi har be-nawa lamhe ki puri dastan main ne padhi hai nashat-angez raaton aur khwabon ke shafaq-alud chehre ko jhulaste din ki khira-kun faza mein ek umr-e-raegan ke aaine mein mahw ho kar kab nahin dekha baras guzre ruten biti watan se be-watan hone ki sari bebasi jheli main barfani ilaqon margh-zaron wadiyon aur regzaron se nishan-e-karwan chunta sada-e-raftagan sunta hua guzra kahan mumkin tha lekin main ne jo dekha suna wo yaad rakkha ajab ye hai nahin gar hafize mein kuchh to wo ek nam hai tera khabar kab thi ki bahti umr ki sarkash rawani mein mujhe jo yaad rahna chahiye tha main wahi ek nam bhulunga parindon aur pedon se jahan bhi guftugu hogi tumhaara zikr aate hi dhundalke zehn mein ek mauja-e-tarik ban kar phailte jaenge aur ye hafiza mafluj aankhon se mujhe ghurega chillaega khauf-e-khud-faramoshi se tum darte the lekin ab maal-e-khud-faramoshi se tum kaise nibhaoge ghubar andar ghubar angdaiyan lete hue raste mein jo kuchh kho chuke ho us ko kaise dhund paoge ye lazim to nahin hai, ek an-bujhi paheli jab achanak yaad aa jae use har haal mein har bar bujhoge tum apne aap se kab tak kisi ka nam puchhoge