kya khabar thi ye tere phul se bhi nazuk hont zahr mein dubenge kumhlaenge murjhaenge kis ko malum tha ye hashr teri aankhon ka nur ke sote bhi tariki mein kho jaenge teri khamosh wafaon ka sila kya hoga mere na-karda gunahon ki saza kya hogi qahqahe honge ki ashkon ki tarannum-rezi dil-e-wahshi tere jine ki ada kya hogi koi uljha hua naghma koi suljha hua git kaun jaane lab-e-shaer ki nawa kya hogi han magar dil hai ki dhadke hi chala jata hai is se badh kar koi tauhin-e-wafa kya hogi aur ye shor garajte hue tufanon ka ek sailab sisakte hue insanon ka har taraf saikdon bal khati dhuwen ki lahren har taraf dher jhulaste hue armanon ka zindagi aur bhi kuchh khwar hui jati hai ab to jo sans hai aazar hui jati hai