main ab naya koi hindisa hun main aur koi hindisa hun tumhaare pahlu mein kal se ab tak jo ek ba-surat sifar sifar thi wo main nahin thi jo tujh mein tere safar ki dhun thi jo khud musafir na ho ke bas teri rahguzar thi wo main nahin thi wo main nahin hun jo apne sine ki aag de kar tere suron ka suhag bhar thi jo teri duniya ka rag bhar thi wo main nahin thi suno tazabzub ki qaid pighli main ek nishchit udan hun ab jo ek anishchit, agar magar thi wo main nahin thi wo main nahin hun main ab naya koi hadisa hun main ab nai koi intiha hun chalo ye mana main saneha hun chalo ye sach hai main ek saza hun magar jo ab tak tumhaare pahlu mein ek ba-surat sifar sifar thi wo main nahin thi wo main nahin hun