aadhi aadhi raat ko ye murgha kyun deta hai azan kali-kaluti koyal ki kyun mithi lagti hai tan aasman mein din bhar ye kyun bharti hai chil udan billi raat ke waqt hi kyun leti hai chuhon ki jaan din bhar ye sote rahna kyun hai ullu ki pahchan nadi kinare bagula kyun roz lagata hai ye dhyan girgit chadhti dhup mein kyun rang badalta hai har aan itne lambe lambe kyun hote hain khargosh ke kan tum ko ho malum to kuchh batlao na dadi-jaan