main aur tu

roz jab dhup pahadon se utarne lagti
koi ghatta hua badhta hua bekal saya
ek diwar se kahta ki mere sath chalo
aur zanjir-e-rifaqat se gurezan diwar
apne pindar ke nashshe mein sada istada
khwahish-e-hamdam-e-derina pe hans deti thi
kaun diwar kisi sae ke ham-rah chali
kaun diwar hamesha magar istada rahi
waqt diwar ka sathi hai na sae ka rafiq
aur ab sang-o-gil-o-khisht ke malbe ke tale
usi diwar ka pindar hai reza reza
dhup nikli hai magar jaane kahan hai saya
This is a great hindi shayari bekal utsahi. True lovers of jeevan sathi shayari in hindi will love this. Please share if you liked this!!!

Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close