khuda-wand mujh mein kahan hausla hai ki main tujh se nazren milaun teri shan mein kuchh kahun tujhe apni nazron se niche giraun khuda-wand mujh mein kahan hausla hai ki tu roz-e-awwal se pahle bhi maujud tha aaj bhi hai hamesha rahega aur main meri hasti hi kya hai aaj hun kal nahin hun khuda-wand mujh mein kahan hausla hai magar aaj ek baat kahni hai tujh se ki main aaj hun kal nahin hun ye sach hai magar koi aisa nahin hai ki jo mere hone se inkar kar de kisi mein ye jurat nahin hai magar tu bahut log kahte hain tujh ko ki tu wahm hai aur kuchh bhi nahin hai