main aurat zat hun mujh ko wafa karne ki aadat hai kabhi riton riwajon se kabhi sukhe gulabon se kabhi kuchh aise khwabon se ki jin ki kirchiyan chun kar meri poren huin chhalni kabhi us aashiyane se ki jis ka ek ek tinka subh se sham hone tak wafa se main ne joda ho kabhi main surat-e-hawwa kabhi main aks-e-mariyam hun misal-e-chadar-e-zainab badhaun man zahra ka mere azm-e-safar mein aaj tak laghzish nahin aai main har ek imtihan mein surat-e-kohsar thahri hun zamane ke sawalon ko jawaban ek hi fiqra mere kahne ko kafi hai main aurat zat hun mujh ko wafa karne ki aadat hai wafa karne ki aadat hai