jab class se teacher jate hain to kitni masarrat hoti hai hum mil kar shor machate hain to kitni masarrat hoti hai chhutti ki ijazat milte hi hum jail ke ek qaidi ki tarah school se bahar aate hain to kitni masarrat hoti hai jis waqt padhate hain teacher dil kitna pareshan hota hai lekin jab khel khilate hain to kitni masarrat hoti hai jab hum ko kisi picnic ke liye school ki jaanib se aksar ustad kahin le jate hain to kitni masarrat hoti hai darje mein padhate waqt aksar jab mere sawalon par yaro ustad bhi chakkar khate hain to kitni masarrat hoti hai bazar se ja kar mere liye har mah mere pyare papa bachchon ka risala late hain to kitni masarrat hoti hai in darsi kitabon mein hum ko kuchh lutf nahin milta lekin jab 'kaif' ki nazmen gate hain to kitni masarrat hoti hai