jab main khwabon ki sath se girta hun wo hanste hain aur aasman ki bijli un ke danton mein phans jati hai jab tis dinon ki sidhi se har mah main niche girta hun wo hanste hain aur un ke hath mein mere badan ki mitti hai jab kachchi siyahi aur qainchi se likhe hue akhbar se niche girta hun wo hanste hain aur un ke hath mein mere nam ki kalghi hai jab hawa aur dhup ke hath se chhut ke girta hun wo hanste hain aur un ke hath mein mere dil ki pattiyan hain jab mahbuba ke dhyan se niche girta hun wo hanste hain aur un ke hath mein meri aankh ka pani hai jab main kitab ke sach aur din ke jhut se niche girta hun wo hanste hain aur un ke hath mein meri umr ke safhe hain main girta hun aur un ko ye malum nahin main bilkul aise girta hun ki jaise pake hue phal mein se bij ka dana girta hai main apni zamin pe bilkul aise girta hun