main hun kya waishya

jaante ho main hun kya main hun waishya
pata hai main ne hai kya kya kiya

main nachti hun kothon par khush hoti hun bus noton par
har raat har raat main apna jism bechti hun

itna dard main bus paison ke liye to sahti hun
main logon ki raaten rangin karti hun

har raat ye apradh sangin karti hun
mera nam aam mein lene nahin

note ke alawa meri zindagi ka koi nayak nahin
zindagi mein mera na hai asitiw na koi iman

samaj ke liye to main hun hi nahin insan
agar hai to bas hai ek pahchan

hun ek kothe wali karti hun apna hi jism nilam
har raat meri ek nae gerahak ke sath hoti hai

har raat meri aatma apni pahchan khoti hai
meri man ka bhi to yahi kaam tha nahin jaanti mere pita ka kya nam tha

jaan kar bhi kya kar leti wo bhi ek waishya thi
kaam un ka logon ko sukh dena tha chinta nahin

wirasat mein un se bas yahi ek kaam mila
jis ke karan hi shayad mujhe jiwan mein kuchh na mila

nahin nahin galti un ki nahin unhonne to padhana chaha tha
par kya karen malkin ko ye bilkul nagawar tha

na jae diya mujhe is narak se bahar na banne di koi pahchan
un ke dabaw mein hi to mujhe khona pada mera iman

ab logon ko bhi kya dosh dun jo mujh par thuk kar jate hain
nahin jaante wo mera sach bas kuchh bhi kah jate hain

dukh to khub hota hai par ab aadat si ho gai hai
sochti hun kabhi kya meri ye aadat waqai sahi hai

kya mujhe jine ka koi mauka milega
kya mere jiwan mein bhi pyar ka phul khilega

ham-safar nahin bas ek hamdard hi chahiye
pahchan nahin thoda sa bas pyar hi chahiye

iman nahin thodi si bas izzat hi chahiye
arman hai bas ek koi waishya nahin nahin waishnawi kar bulae

paise dekh kar nahin pyar de kar gale se lagae
kisi ke ghar tutne ka nahin judne ka karan banna chahti hun

bas ek bar kisi ke dikh ka niwaran banna chahti hun
kisi ki biwi na sahi bahan banna chahti hun

har bar ki tarah waishya nahin ek insan banna chahti hun
jaanti hun aise sapne mere liye nahin hain

par kya karun sapne mere bas mein nahin hain
is liye har bar ye sapna aankh se bund ke sath baha deti hun

phir kamre mein ja kar kisi gerahak ko wo sukh deti hun
bas yahi mere jiwan ka sar hai

ek hi mera kaam aur ye kaam hi mera sansar hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close