zindagi kitni hai ajib-o-gharib zindagi kya hai ek tamasha hai zindagi rahguzar-e-be-manzil be-talab be-husul jina hai hain faqat chand log hi mukhtar aur baqi jo hain wo bande hain kya phire hain gale mein latkae ranj-o-mazlumiyat ke phande hain phir bhi jite hain kya khabar kya ho kuchh dawami nahin nizam-e-kohan garche hai ye maqam-e-dard-o-mehan kya khabar manzil-e-digar kya ho aaj har chand hain ba-haal-e-zabun kaun jaane ki kal magar kya ho