ek khaliya hun main zindagi ki ikai hun main tut kar ban raha hun azal se yunhi main anasir ki tartib hun main shuur-o-nazar ki wo buniyaad hun jis pe qaem riyazi ke tedhe sutun jis ki shakhen hain adwar ke falsafe jo adab art sangit ki ruh hain ek zarra hun main tut kar ban raha hun azal se yunhi mere har reza-e-mukhtasar mein nai zindagi mere har salme mein nai zist hai ek qatra hun main us samundar ka jis ki ghazabnak amwaj mein kashtiyan kahkashaon ki phirti hain tinkon ki manind bahti hui main samundar hun qatra mera nam hai ek khaliya hun lekin mukammal hayat ek zarra magar markaz-e-kaenat main hi makhluq hun main hi khaliq hun duniya ka mabud hun main hi main hun azal se abad tak yahan se wahan tak faqat main hi main