mere sath chalti hai tanhai bhi tirgi bhi main phaila hua hun yahan se wahan tak khala se khala tak khala jo andhera hai tanhaiyon ka khala jo basera hai gahraiyon ka khala mera sathi khala mera partaw khala mera saya khala dusra rukh hai meri jihat ka ki main waqt hun aur waqt la-intiha hai khalaon ki manind nai samt hun main wajud-o-adam ki mujhe lamhon sadiyon dinon mein na banto mujhe faslon se na napo mujhe apni raftar mein qaid kar lo