main jagta hun koi nazm sar uthae to use main sina-e-qirtas par raqam kar dun mere dukhon ki salibon pe kaise kaise badan latak rahe hain numaish ko ek muddat se main ek sans mein kaise jiya hun kaise mara ho mere hath ki tahrir mein likha shayad koi shikan mere mazi ki aks ho shayad main apna ek sitam karsaz karne ko hazaron khwahishon ka ek jal bunta hun wo jal salha-salon se lipta rahta hai mere wajud ke la-intiha darichon par