zamane ki raftar se tang aa kar saliben uthae sabhi chal rahe hain ghamon ki saliben dukhon ki saliben saliben uthae sabhi ji rahe hain ki zahr-e-haqiqat sabhi pi rahe hain magar haif-sad-haif sare jahan mein koi bhi kisi ka masiha nahin hai zamane ke haalat se kya ladenge dilon pe jafaon ke kode padenge nigahon se namnak moti jhadenge zamane ki raftar se tang aa kar saliben uthae sabhi chal rahe hain magar hum mein shauq-e-shahadat nahin hai nizam-e-ghalat se baghawat nahin hai sadaqat ka 'rahi' bahut dur hoga na isa hai koi na mansur hoga riwayat ke zahr mein ghol kar yun lahu pine walon ki ifraat hogi magar shakhsiyat kaun suqraat hogi ghamon ki saliben dukhon ki saliben saliben uthae sabhi chal rahe hain