main khud se mayus nahin hun insan se mayus hun thoda dharti par aane se pahle wo aur main sath raha karte the jannat mein lekin is ko sadiyan bitin ab us se mera kya rishta waise wo bhi mujh jaisa hai meri tarah khata pita chalta phirta hai hum donon ham-shakl hain itne kuchh bhi kare wo chand pe jae dharti par jang kare aur khun bahae aanch mere daman par aae hum donon ham-shakl hain lekin kya main apni man bahnon ko chaurahe par nanga kar sakta hun wo karta hai wo pistanen jin se main ne dudh piya balwan bana hun jin par main ne sher kahe taswiren banain kya main un ko kat ke kutton ko khilwa sakta hun kahte hain khilwaya us ne kya main niswani paikar ko jo mera mauzu-e-sukhan hai phul se komal chand se shital ki botal jo meri biwi ka badan hai us ko tukde tukde kar sakta hun us ne kiya hai kya main apni beti se munh kala kar ke apne bhai-bandon ham-jinson ko buddhon jawanon masumon ko zinda jala kar phansi ke takhte pe chadha kar un ke lahu ka tilak laga kar munchh pe taw de sakta hun us ne diya hai main khud se mayus nahin hun insan se mayus hun thoda aaj hi sare akhbaron mein khabar chhapi hai is dharti ke ek hisse gujraat mein us ne mere munh par thuk diya hai