qatil-e-be-chehra

sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise main hi khuda hun

khuda ka beta hun
khudai jis ko chadhati rahi hai suli par

sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise arsa-e-paikar-e-haqq-o-baatil mein

hamesha main hi jo mazhar raha hun neki ka
shikast khata raha

piya hai zahr bhi main ne kataya hai sar bhi
bujhi na pyas magar khanjar-o-sinan ki abhi

na jaane kitni dafa aur qatl hona hai
mujhe ba-pas-e-digar

sharab pi ke ye ehsas mujh ko hota hai
ki jaise main hi zamane mein ek qatil hun

aur aisa qatil-e-be-chehra jis ko sadiyon se
zamana dhund raha hai

magar nahin milta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close