main kitne barson se roz apne ana ki ek parat chhilta hun lahu lahu in hazar parton ki tah mein patthar hun jaanta hun ye kahkashaen ye kaenaten ye raushni ke siyah raste guzar ke teri talash mein hain ki ho na ho tum wahan kahin meri muntazir ho mujhe yaqin hai ki tum meri baat sun rahi ho magar nahin ho, ki ye jo tum ho, ye tum nahin ho meri ana ka koi nagar ho ki jis ke raushan siyah kuchon mein sar-kate ajnabi bhare hain main ruh ke reshmi libaade hata ke khud se milunga lekin mujhe khabar hai ki tum wahan bhi nahin milogi ki tum parastish ki aarzu ka koi bhanwar ho koi khudawand-e-lab mile to ki apni banjar ada ke mandir mein murti ki tarah khadi ho hazar sadiyon se rah tak tak ke jam gai ho