din baadal hai apni rau mein chalta hai raat aangan hai apne andar khulti hai jis aan tum is mitti par ya mitti mein aae the wo din tha raat thi ya din-raat se milne ki ek azali abadi koshish thi ya suraj chand-gahan tha ya pakki puri barish thi din baadal barish raat gahan ek ghar aur ek asir ab raat ke khwab se mat darna aur din ke gham mein mat sona ab hansna aur hanste mein mar jaana jaise aksar marne wale sote mein mar jate hain ab hansna aur hanste mein mar jaane se mat darna is aan se kya har aan yahi din baadal barish raat gahan ek ghar aur ek asir