main kya chahta hun main kya chahta hun main duniya ka aalam naya chahta hun wo firqe jo rahte hain hindostan mein unhen ek dil dekhna chahta hun ho maqsad yahan jin ka iza-rasani main un taqaton ki fana chahta hun adawat ka nafrat ka anjam bad hai main is baat ko sochna chahta hun gharibi se ab jaan par aa bani hai main is haal ko rokna chahta hun watan ki taraqqi ka hai raaz is mein main aazad aab-o-hawa chahta hun bane des phir apna sone ki chidiya kuchh aisi nai kimiya chahta hun jo kahte hain ye kimiya hurriyat hai main taid un ki kya chahta hun milegi na ye kimiya be-kiye kuchh ye ek baat sidhi kaha chahta hun nai baat hai mujh ko 'nayyar' gawara har andaz apna naya chahta hun