KHanam-jaan

mitti ka badan
nache to kiran

wo raushniyon mein nachne wali
khanam-jaan

us ke hathon ki badli mein
mere baz

apna aangan bhul gae
main ne kaha

main ne teri do aankhon mein
kitne bistar paint kiye

jis waqt ye kamra chhodunga
apne sare khwab

tujh se wapas le lunga
khanam-jaan

us ne kaha
aao subh se pahle

hum tum
pichhle ek baras mein marne walon ki photo dekhen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close