main ye kahta tha ki nauha na kaho khelti titliyon hansti hui kaliyon ke qaside likkho ye jo imkan mein koi bas damakti hai ise lafz mein lao kisi dil mein likhe lafz jo dil ke dabao ko ghata deta hai dil jo ek hashr utha deta hai main ye kahta tha chahakti hui chidiyon ke liye git likho un darakhton se lipat jaun jo jalte hain magar saya-kunan rahte hain warna dil sirf khizan rahte hain abr ki baat karo ashk tah-e-chashm dabe rahne do main ye kahta tha kahin dur khanakti hui qilqari ko apne ehsas ki kyari mein numu pane do wo jo farda ke chaman mein hai nigar mumkin ise alfaz ki mahkar mein so ja ne do main ye kahta tha magar kya main yahi kahta tha