nahin main nahin hun kisi dusre ne mujhe main kaha hai to mein ho gaya hun nafas khinchta hun magar zindagi meri khwahish nahin hai mujhe zindagi ne chuna hai lihaza mere faisle zindagi kar rahi main rota nahin hun meri aankh se os ke phul gham ki hawaen giraati hain kaliyan hansi ki mere lab pe khilti nahin hain khushi ki bahaaren khilati hain khud aati jati hain dil mein tamannaen main kab bulata hun (meri kamai faqat na-rasai hai) main ne mohabbat bhi kab muntakhab ki hai us ne mujhe apni fahrist mein likh liya hai mujhe khwab aate nahin hain so khwabon ne tai kar liya hai ki aainda wo meri aankhon ke boson se koson ke lambe safar par chalenge nahin main kawi bhi nahin hun mujhe nazm likhti hai main nazm likhta nahin hun