nazm kahoge kah loge kya? dekho itna sahl nahin hai banti baat bigad jati hai aksar nazm akad jati hai chalte chalte la ko markaz man ke ghumne lag jati hai ladte ladte lafzon ke hathon ko chumne lag jati hai sidhe raste par mudti hai mod pe sidha chal padti hai harf ko barf bana deti hai barf mein aag laga deti hai chup ka qufl laga kar gungi ho jati hai dhima dhima bolte yak-dam ghurraati hai nazm kahoge kah loge kya dekho itni sahl nahin hai banti baat bigad jati hai rah mein sans ukhad jati hai