main pal do pal ka shair hun pal do pal meri kahani hai pal do pal meri hasti hai pal do pal meri jawani hai mujh se pahle kitne shair aae aur aa kar chale gae kuchh aahen bhar kar laut gae kuchh naghme ga kar chale gae wo bhi ek pal ka qissa the main bhi ek pal ka qissa hun kal tum se juda ho jaunga go aaj tumhaara hissa hun pal do pal mein kuchh kah paya itni hi saadat kafi hai pal do pal tum ne mujh ko suna itni hi inayat kafi hai kal aur aaenge naghmon ki khilti kaliyan chunne wale mujh se behtar kahne wale tum se behtar sunne wale har nasl ek fasl hai dharti ki aaj ugti hai kal katti hai jiwan wo mahngi mudra hai jo qatra qatra batti hai sagar se ubhri lahar hun main sagar mein phir kho jaunga mitti ki ruh ka sapna hun mitti mein phir so jaunga kal koi mujh ko yaad kare kyun koi mujh ko yaad kare masruf zamana mere liye kyun waqt apna barbaad kare