raat ko jab bhi aankh khuli hai mujh ko yun mahsus hua hai jaise koi mere sirhane khada hua hai do aanhken mithi nazron se mera chehra chum rahi hain do hathon ki narmi mere rukhsaron par phail gai hai do honton ki garmi meri peshani mein jazb hui hai zulfon ki lahraati khushbu sanson mein ras-bas si gai hai kamre ki khamosh faza mein giton ke kuchh bol purane tair rahe hain khidki ke pardon ko jaise abhi kisi ne thik kiya hai aatish-dan ke bujhte shoale abhi abhi bhadkae gae hain takiya jo bistar se gira tha ab sar us pe dhara hua hai kambal jo pairon mein pada tha sara badan ab dhanp raha hai mujh ko yun mahsus hua hai jaise tum ab bhi kamre mein khadi hui ho ab bhi ghar mein basi hui ho lekin tum to chhod ke mujh ko dur purane qabristan ki simti sukdi ek turbat mein ek muddat se chhupi hui ho!