ajib aandhiyan chalin hawaen tez-tar huin duaen be-asar huin hasin jaan-gudaz phul odh kar wo sari dhul shakh se chimat gae khauf se lipat gae magar wo shakh jhuk gai zamin pe aa ke ruk gai phul shakh se jhade zamin pe aise gir pade ki barg barg rang rang aandhiyon mein kho gae mile kuchh aise khak mein ki khud hi khak ho gae magar ye nannhi ghas jo pali badhi hai dhul mein zamin se lipat ke muskura rahi hai dhul mein wo hans ke jaise kah rahi ho bibiyo yahi hai zindagi ka gur samajh sako to sochiyo koi kuchal bhi de to sar utha ke phir jiyo yahan khadi main sochti thi sochti hun bas yahi main phul jaisi kyon hui main ghas jaisi kyon nahin