zindagi reshmin qalin nahin hoti khwab ke panw bhi hote hain kahan aur tamannaen bhi aankhen nahin rakhtin phir bhi khwab chalte hain bahut dur talak chalte hain roz na-bina tamannaon ki ungli thame phir kisi saat-e-na-purs ke gumbad ke tale dasht-e-tasir ki be-gosh panahon mein kahin jaane kis jazba-e-masum ki mauhum si chikh ghut ke rah jati hai khud apne gulu ke andar sirf ek taza lahu ki khushbu sard pur-ab fazaon mein bikhar jati hai sar se pa tak jab usi khun mein naha jate hain khwab-e-nadida thake panw se laut aate hain