main purana hua

zist ke daere mein muqayyad hue
ek zamana hua

muskuraate hue
istada jo ashjar aangan mein the

kat gae bat gae
dew-asa jo sae the rukhsat hue

tair-e-khush-nawa hijraten kar gae
har qadam hadisa

ek naya hadisa
meri rag rag se taqat chura le gaya

dur aafaq par timtimate hue
jo sitare the khwabon ke ojhal hue

zist ka daera tang hone laga
daere se nikalne ki sab koshishen raegan ho gain

ghar ke diwar-o-dar
be-yaqini ke aalam mein takne lage

aur phir der tak mujh ko takte rahe
log hanste rahe

zist ke daere mein muqayyad hue ek zamana hua
museum mein mujhe ab saja dijiye main purana hua


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close