aashnai gai dilrubai gai sahl lagti thin jo manzilen kho gain sham-e-be-kaif mein dhal gai aarzu zehn ki khidkiyon se nahin jhankta ab koi mahtab ab koi shab gae meri sochon ko sahlane aata nahin ab koi manzar-e-shadman dil lubhata nahin ab koi lams ban kar meri ruh mein sarsaraata nahin