tum se sirf ek bar janmi gai hun magar tum to aaj tak mujh se janm le rahe ho phir main mahz ek saya ban kar kyun rah gai wajud kyun nahin bani mera padaw hamesha tumhaare anguthe ke niche kyun rakha gaya hai main tumhaare nam ki sil apne badan se hata kar khuli hawa mein munh bhar kar sans lena chahti hun bap bhai shauhar aur bete ke ghar ke alawa mera apna watan bhi to hona chahiye qaidi aankhon mein iltija ke phul liye ijazaton ke rah takte takte pankhudiyan sukh kar meri ruh mein kanton ki tarah chhine lagi hain khudara meri aankhon ko zamin se itna kas kar na bandho ki main aasman ke rang dekha chahti hun aur tumhaari aankhon mein sulagti hui andhi ana ki chingariyon ko apni rupahli mohabbaton ki phuwar se sard karna chahti hun pairon se uth kar mere dil mein tumhaare sath chalne ki khwahish hai aur tum mujhe kai rishton ki tanabon mein jakad kar bhi meri udan se khauf-zada ho ye jaan kar bhi ki agar parindon ke par kat diye jaen to phir un ke liye pinjron ki zarurat baqi nahin rahti minnaton ke dard karte karte meri zabanon ka gosht galne laga hai chalo hukm na sahi kam-az-kam mujhe apni baat karne ki to aazadi ho tumhaari kohna riwayat ki bediyan pindliyon ka gosht kat kar ab meri haddiyan chabana chahti hain main munh ke bal giri ya mazur hui to ehtijajan banjh ho jaungi aur agar mein banjh hui to apne janm ke liye aainda sadi ke kis ki kho mein utroge