utho ki waqt khatm ho gaya tamash-binon mein tum aakhiri hi rah gae ho ab chalo yahan se aasman tak tamam shahr chadaren lapet li gain zamin sang-reza sakht dant si safed malgaji dikhai de rahi hai har taraf tumhein jahan guman-e-sabza tha wo jhalak rahi hai kohna kaghazon ki barf wo jo chale gae unhen to ikhtitamiye ke sab siyah manzaron ka ilm tha wo pahle aae the isi liye wo aqalmand the tumhein to subh ka pata na sham ki khabar tumhein to itna bhi pata nahin ki khel khatm ho to us ko sham kahte hain ai nanhe shaiqan-e-raqs ab gharon ko jao